aasma kuch nam sa hai
per khush hoon main
baat kuch aur khaas nahi
shyad teri yaad ka gham
aaj zara kam sa hai......
mausam aur bhi suhaane aayenge
samaa kuch aur bhi rangeen honge
tujhe bhool jaaun yeh toh mumkin nahi
per haan
tujhe fir kabhi
paane ki ummeed ka bhram
aaj zara kam sa hai......
aksar chai ki chuskian lete hue
kaheen kho jaata hoon
shayad us duniya mein
jahaan bas mein aur tu hai
maana mein hosh mein nahi
per yeh bhi sach hai
teri nigahon ka woh nasha
aaj zara kam sa hai......
kaheen door tufaano mein
timtamatey diye si meri chahat
na jaane kab bujh jaaye
aarzoo, armaan tamanna ka toh
khwab bhi kab ka chhod chala
jeetne ki ummeed to nahi
per haan
haar jaaney ka darr
aaj zara kam sa hai......
kuch halaat badalney mein
kuch zamaney ko badalney ki chah mein
mein khud hi be-inteha badal gaya
yoon toh jee sakta hoon
yeh behroopiye si zindagi
kuch din ya shayad salon aur
per saare naqaab, sab mukhotey
utar jaane ka darr
aaj zara kam sa hai......
yoon toh dard kuch aur bhi
bardasht ker sakta hoon
per dil tootney ka dard sahne ka sahas
aaj zara kam sa hai......
avis